hazar rah mein aaya karen nasheb-o-faraaz
hazār raah meñ aaya kareñ nasheb-o-farāz
mazā to jab hai ki TuuTe na himmat-e-tag-o-tāz
jo dekh letī hai vīrāne meñ bahār-e-chaman
tujhe nasīb kahāñ aisī chashm-e-jalva-tarāz
numūd-e-sub.h kā kyoñ muntazir hai dīvāne
duā ye maañg shab-e-hijr kī ho umr darāz
mayassar aa na sakī tujh ko fitrat-e-mahmūd
agarche dil hai tirā mubtalā-e-zulf-e-ayāz
tū ek kā ho to kuchh aa.e lutf sajdoñ kā
har ek dar pe jhukātā hai kyoñ jabīn-e-niyāz
nasīb kyā hoñ tirī anjuman ko parvāne
milā na dil ko tire misl-e-sham.a soz-o-gudāz
tirī nigāh ne paayā hai sāmrī kā fusūñ
mirī nazar meñ asā-e-kalīm kā e.ajāz
ma.āl-e-shām-e-ġham-e-zindagī kī fikr na kar
hanūz baaqī hai ik aur sub.h kā āġhāz
jalā sakegī na zinhār ātish-e-namrūd
hai shart ye ki hoñ tujh meñ ḳhalīl ke andāz
na rah sakā gul-o-bulbul kā raaz bhī pinhāñ
sabā to kyā ki chaman saarā ban gayā ġhammāz
tire vajūd ke asrār ko maiñ kyā samjhūñ
mirā vajūd mire vāste hai ḳhud ik raaz
use to chāhiye āzādī-e-fazā-e-chaman
qafas meñ kyā koī dikhlā.e quvvat-e-parvāz
kisī kī yaad meñ masrūf-e-ashk-bārī huuñ
yahī hai merā vuzū aur yahī hai merī namāz
maiñ vo huuñ jis pe kabhī un ko naaz thā 'najmī'
kareñ vo laakh haqīqat ko ab nazar-andāz
hazar rah mein aaya karen nasheb-o-faraaz
maza to jab hai ki TuTe na himmat-e-tag-o-taz
jo dekh leti hai virane mein bahaar-e-chaman
tujhe nasib kahan aisi chashm-e-jalwa-taraaz
numud-e-subh ka kyon muntazir hai diwane
dua ye mang shab-e-hijr ki ho umr daraaz
mayassar aa na saki tujh ko fitrat-e-mahmud
agarche dil hai tera mubtala-e-zulf-e-ayaz
tu ek ka ho to kuchh aae lutf sajdon ka
har ek dar pe jhukata hai kyon jabin-e-niyaz
nasib kya hon teri anjuman ko parwane
mila na dil ko tere misl-e-shama soz-o-gudaz
teri nigah ne paya hai samri ka fusun
meri nazar mein asa-e-kalim ka eajaz
maal-e-sham-e-gham-e-zindagi ki fikr na kar
hanuz baqi hai ek aur subh ka aaghaz
jala sakegi na zinhaar aatish-e-namrud
hai shart ye ki hon tujh mein KHalil ke andaz
na rah saka gul-o-bulbul ka raaz bhi pinhan
saba to kya ki chaman sara ban gaya ghammaz
tere wajud ke asrar ko main kya samjhun
mera wajud mere waste hai KHud ek raaz
use to chahiye aazadi-e-faza-e-chaman
qafas mein kya koi dikhlae quwwat-e-parwaz
kisi ki yaad mein masruf-e-ashk-bari hun
yahi hai mera wuzu aur yahi hai meri namaz
main wo hun jis pe kabhi un ko naz tha 'najmi'
karen wo lakh haqiqat ko ab nazar-andaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.