hazar ranj uThata hai ek KHushi ke liye
hazār ranj uThātā hai ik ḳhushī ke liye
ye zindagī bhī aziyyat hai aadmī ke liye
vo dil ki jis ko kisī haal meñ qarār na thā
bichhaḌ ke tum se dhaḌaktā nahīñ kisī ke liye
ḳhushā ki ham ne ruḳh-e-zindagī nikhār diyā
ġhazab ki ham hī taraste haiñ zindagī ke liye
na jaane kyoñ mirī āñkhoñ meñ aa ga.e aañsū
kisī ne haath baḌhāyā jo dostī ke liye
diyā hai sāqi-e-mahfil ne jām-e-mai sab ko
magar nigāh uThī hai kisī kisī ke liye
hazār-haif vahī raushnī se haiñ mahrūm
diye jinhoñ ne jalā.e the raushnī ke liye
nasīb kahte haiñ is ko ki umr bhar 'afzal'
guloñ meñ rah ke taraste rahe hañsī ke liye
hazar ranj uThata hai ek KHushi ke liye
ye zindagi bhi aziyyat hai aadmi ke liye
wo dil ki jis ko kisi haal mein qarar na tha
bichhaD ke tum se dhaDakta nahin kisi ke liye
KHusha ki hum ne ruKH-e-zindagi nikhaar diya
ghazab ki hum hi taraste hain zindagi ke liye
na jaane kyon meri aankhon mein aa gae aansu
kisi ne hath baDhaya jo dosti ke liye
diya hai saqi-e-mahfil ne jam-e-mai sab ko
magar nigah uThi hai kisi kisi ke liye
hazar-haif wahi raushni se hain mahrum
diye jinhon ne jalae the raushni ke liye
nasib kahte hain is ko ki umr bhar 'afzal'
gulon mein rah ke taraste rahe hansi ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.