hazar rup farozan hain raushni ki tarah
hazār ruup farozāñ haiñ raushnī kī tarah
vo apne rang meñ tanhā hai chāñdnī kī tarah
yahī nahīñ ki zamāne se rasm-o-rāh na kī
ham apne ghar meñ bhī rahte haiñ ajnabī kī tarah
julūs vaale makānoñ ko phūñk bhī dete
yahī bahut hai ki guzre haiñ aadmī kī tarah
jidhar nigāh uThāo dikhā.ī detā hai
tirā vajūd manāzir meñ dilkashī kī tarah
vo tū nahīñ thā ki maiñ hī badal gayā ai dost
tire qarīb se guzrā huuñ ajnabī kī tarah
bhaTak rahā huuñ samundar kī justujū meñ 'ziyā'
mirā vajūd hai bahtī huī nadī kī tarah
hazar rup farozan hain raushni ki tarah
wo apne rang mein tanha hai chandni ki tarah
yahi nahin ki zamane se rasm-o-rah na ki
hum apne ghar mein bhi rahte hain ajnabi ki tarah
julus wale makanon ko phunk bhi dete
yahi bahut hai ki guzre hain aadmi ki tarah
jidhar nigah uThao dikhai deta hai
tera wajud manazir mein dilkashi ki tarah
wo tu nahin tha ki main hi badal gaya ai dost
tere qarib se guzra hun ajnabi ki tarah
bhaTak raha hun samundar ki justuju mein 'ziya'
mera wajud hai bahti hui nadi ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.