hazar shab ke darichon mein mahtab saje
hazar shab ke darichon mein mahtab saje
Syed Mohammad Ahmad Naqvi
MORE BYSyed Mohammad Ahmad Naqvi
hazār shab ke darīchoñ meñ māhtāb saje
na merā chāk-e-garebāñ silā na ḳhvāb saje
haqīqatoñ se na uljho bahut bhayānak haiñ
saje sajāo agar der tak sarāb saje
añdhere ghar meñ jale phir se aarzū ke charāġh
jab ik shikasta se gul-dān meñ gulāb saje
charāġh-e-shab kī tarah ham jalā.e jā.eñge
hamāre baad hī mumkin hai āftāb saje
hadīs-e-dil na sahī zeb-e-dāstāñ hī sahī
hamāre zikr se ik diary ke baab saje
mirā kalām bhī merī hī tarah hai 'naqvī'
ab us ke shelf meñ kab dekhiye kitāb saje
hazar shab ke darichon mein mahtab saje
na mera chaak-e-gareban sila na KHwab saje
haqiqaton se na uljho bahut bhayanak hain
saje sajao agar der tak sarab saje
andhere ghar mein jale phir se aarzu ke charagh
jab ek shikasta se gul-dan mein gulab saje
charagh-e-shab ki tarah hum jalae jaenge
hamare baad hi mumkin hai aaftab saje
hadis-e-dil na sahi zeb-e-dastan hi sahi
hamare zikr se ek diary ke bab saje
mera kalam bhi meri hi tarah hai 'naqwi'
ab us ke shelf mein kab dekhiye kitab saje
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.