hazar shewa-e-rangin hai ek jafa ke liye
hazār sheva-e-rañgīñ hai ik jafā ke liye
nigāh chāhiye nairan.gi-e-adā ke liye
savād-e-fikr se ubhrī tirī hasīn nigāh
maiñ sham' DhūñDh rahā thā rah-e-vafā ke liye
vo ranj-e-rāh ho yā ḳhauf-e-gumrahī ai dost
jo rāh-rau ke liye hai vo rahnumā ke liye
ye bandagī ye riyāzat ye zohd ye taqvā
ye sab ḳhudī ke liye hai ki hai ḳhudā ke liye
ye vaqt vo hai ki dīvāna toḌ de zanjīr
ki khul rahī hai vo zulf-e-siyah du'ā ke liye
miTā miTā ke banā.e ga.e ḳham-e-gesū
paḌī girah pe girah ek mubtalā ke liye
sukūt-e-shab meñ ki Thahrī hai kā.enāt kī nabz
dil āshnā kā dhaḌaktā hai āshnā ke liye
bas ek nigāh ne donoñ ko de rakhā hai fareb
'razā' tumhāre liye hai na tum razā ke liye
hazar shewa-e-rangin hai ek jafa ke liye
nigah chahiye nairangi-e-ada ke liye
sawad-e-fikr se ubhri teri hasin nigah
main sham' DhunDh raha tha rah-e-wafa ke liye
wo ranj-e-rah ho ya KHauf-e-gumrahi ai dost
jo rah-rau ke liye hai wo rahnuma ke liye
ye bandagi ye riyazat ye zohd ye taqwa
ye sab KHudi ke liye hai ki hai KHuda ke liye
ye waqt wo hai ki diwana toD de zanjir
ki khul rahi hai wo zulf-e-siyah du'a ke liye
miTa miTa ke banae gae KHam-e-gesu
paDi girah pe girah ek mubtala ke liye
sukut-e-shab mein ki Thahri hai kaenat ki nabz
dil aashna ka dhaDakta hai aashna ke liye
bas ek nigah ne donon ko de rakha hai fareb
'raza' tumhaare liye hai na tum raza ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.