hazar wade kiye hain tumne kabhi kisi ko wafa na karna
hazar wade kiye hain tumne kabhi kisi ko wafa na karna
Qurban Ali Salik Beg
MORE BYQurban Ali Salik Beg
hazār vā'de kiye haiñ tum ne kabhī kisī ko vafā na karnā
chalo usī par jo ġhair kah deñ kahīñ hamārā kahā na karnā
agar na sunte ho baat merī to sabr aa jaa.e jī ko mere
sitam hai un ko ḳhamosh rahnā ġhazab hai sun kar sunā na karnā
ḳhushī hai un ko ye jāntā huuñ magar maiñ rakhne ko baat apnī
kahūñ ye un se ki ba.ad-e-murdan tum aa ke mātam mirā na karnā
vo jāneñ 'ishq-o-havas ko jab tak hayāt dushman kī hai ġhanīmat
baḌhegī us se hī qadr apnī ki ġhārat us ko ḳhudā na karnā
sabab maraz kā hai tark-e-ādat yahāñ yahāñ haiñ dard-o-alam kī ḳhūgar
yahī samajhnā davā hamārī ki chāra-sāzo davā na karnā
agar hai aanā to ab bhī aao na tañg aa kar vo kuchh kareñ ham
ki jis ko sun kar kahe zamāna kiyā vo us ne jo thā na karnā
ye ek muddat kī hai tavaqqo' miTā na denā ilāhī is ko
agar hai manzūr paas us kā zuhūr roz-e-jazā na karnā
hameñ to marnā hai āḳhir ik din tumhāre sar ho ke mar raheñge
satā.e jaanā tumheñ qasam hai kamī na karnā ḳhatā na karnā
batā rahe haiñ falak ko dushman vo muntaqim hai kare jo chāhe
uThe hue haiñ jo haath apne tasavvur us ko du'ā na karnā
kaheñ 'adū kī burā.iyāñ kyā mile ho us se milo va-lekin
batā.e dete haiñ is liye ham ki ham se aa kar gilā na karnā
laboñ pe rahnā ki jab tak ummīd-e-āmad us kī hai mujh ko baaqī
kare na va.ada vafā agar vo to mujh se ai jaañ vafā na karnā
yahīñ ho apnā sā haal dushman mile na dozaḳh balā se us ko
na nikle jab tak ye hasrat apnī ilāhī mahshar bapā na karnā
hayā kā parda hai varna tum to hue pashemān-e-jañg-e-dushman
nahīñ ho fikr musālahat meñ to ham se mil kar hayā na karnā
saheñge jo kuchh paḌegī ham par balā meñ phañste ho kis liye tum
agar hai manzūr ḳhair 'sālik' to zikr un se mirā na karnā
hazar wa'de kiye hain tum ne kabhi kisi ko wafa na karna
chalo usi par jo ghair kah den kahin hamara kaha na karna
agar na sunte ho baat meri to sabr aa jae ji ko mere
sitam hai un ko KHamosh rahna ghazab hai sun kar suna na karna
KHushi hai un ko ye jaanta hun magar main rakhne ko baat apni
kahun ye un se ki baad-e-murdan tum aa ke matam mera na karna
wo jaanen 'ishq-o-hawas ko jab tak hayat dushman ki hai ghanimat
baDhegi us se hi qadr apni ki ghaarat us ko KHuda na karna
sabab maraz ka hai tark-e-adat yahan yahan hain dard-o-alam ki KHugar
yahi samajhna dawa hamari ki chaara-sazo dawa na karna
agar hai aana to ab bhi aao na tang aa kar wo kuchh karen hum
ki jis ko sun kar kahe zamana kiya wo us ne jo tha na karna
ye ek muddat ki hai tawaqqo' miTa na dena ilahi is ko
agar hai manzur pas us ka zuhur roz-e-jaza na karna
hamein to marna hai aaKHir ek din tumhaare sar ho ke mar rahenge
satae jaana tumhein qasam hai kami na karna KHata na karna
bata rahe hain falak ko dushman wo muntaqim hai kare jo chahe
uThe hue hain jo hath apne tasawwur us ko du'a na karna
kahen 'adu ki buraiyan kya mile ho us se milo wa-lekin
batae dete hain is liye hum ki hum se aa kar gila na karna
labon pe rahna ki jab tak ummid-e-amad us ki hai mujh ko baqi
kare na wada wafa agar wo to mujh se ai jaan wafa na karna
yahin ho apna sa haal dushman mile na dozaKH bala se us ko
na nikle jab tak ye hasrat apni ilahi mahshar bapa na karna
haya ka parda hai warna tum to hue pasheman-e-jang-e-dushman
nahin ho fikr musalahat mein to hum se mil kar haya na karna
sahenge jo kuchh paDegi hum par bala mein phanste ho kis liye tum
agar hai manzur KHair 'salik' to zikr un se mera na karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.