hazar zaKHm mile phir bhi muskuraate hue
hazār zaḳhm mile phir bhī muskurāte hue
guzar gayā hai koī rāsta banāte hue
vo pūchh baiThā thā mujh se sabab bichhaḌne kā
zabān kaañp ga.ī us ko sach batāte hue
ye kis gunāh kā ehsās hai mire dil ko
nigāh uThtī nahīñ raushnī meñ aate hue
azaab pūchhe koī ham se kam-libāsī kā
tamām umr kaTī hai badan chhupāte hue
tumhāre naam ke aañsū haiñ merī āñkhoñ meñ
ye baat bhuul na jaanā mujhe rulāte hue
hazar zaKHm mile phir bhi muskuraate hue
guzar gaya hai koi rasta banate hue
wo puchh baiTha tha mujh se sabab bichhaDne ka
zaban kanp gai us ko sach batate hue
ye kis gunah ka ehsas hai mere dil ko
nigah uThti nahin raushni mein aate hue
azab puchhe koi hum se kam-libasi ka
tamam umr kaTi hai badan chhupate hue
tumhaare nam ke aansu hain meri aankhon mein
ye baat bhul na jaana mujhe rulate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.