hazaron fasl-e-gul hon pankhuDi achchhi nahin lagti
hazaron fasl-e-gul hon pankhuDi achchhi nahin lagti
Dil Sikandarpuri
MORE BYDil Sikandarpuri
hazāroñ fasl-e-gul hoñ pankhuḌī achchhī nahīñ lagtī
tire bin mujh ko sāvan kī jhaḌī achchhī nahīñ lagtī
agar tark-e-ta'alluq mujh se karnā hai to jaldī kar
makāñ meñ der tak mayyat paḌī achchhī nahīñ lagtī
mire hāthoñ meñ jab tak haath terā aa nahīñ jaatā
yaqīnan mujh ko sāñsoñ kī laḌī achchhī nahīñ lagtī
musalsal chalne vāloñ ko mileñgī manzileñ ik din
thakan mujh ko kisī rah par khaḌī achchhī nahīñ lagtī
hamesha vaqt se pahle sulā detī hai āñkhoñ ko
mujhe dīvār se lipTī ghaḌī achchhī nahīñ lagtī
asīrī zulf-e-jānāñ kī jinheñ 'dil' raas aa jaa.e
kisī sone kī un ko hathkaḌī achchhī nahīñ lagtī
hazaron fasl-e-gul hon pankhuDi achchhi nahin lagti
tere bin mujh ko sawan ki jhaDi achchhi nahin lagti
agar tark-e-ta'alluq mujh se karna hai to jaldi kar
makan mein der tak mayyat paDi achchhi nahin lagti
mere hathon mein jab tak hath tera aa nahin jata
yaqinan mujh ko sanson ki laDi achchhi nahin lagti
musalsal chalne walon ko milengi manzilen ek din
thakan mujh ko kisi rah par khaDi achchhi nahin lagti
hamesha waqt se pahle sula deti hai aankhon ko
mujhe diwar se lipTi ghaDi achchhi nahin lagti
asiri zulf-e-jaanan ki jinhen 'dil' ras aa jae
kisi sone ki un ko hathkaDi achchhi nahin lagti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.