hazaron gham hain lekin bar-e-gham dil par na rakkhunga
hazaron gham hain lekin bar-e-gham dil par na rakkhunga
Junaid Hazin Lari
MORE BYJunaid Hazin Lari
hazāroñ ġham haiñ lekin bār-e-ġham dil par na rakkhūñgā
ye nāzuk ābgīna us pe maiñ patthar na rakkhūñgā
vo mausam vo fazā vo sā.ateñ tere bichhaḌne kī
maiñ apne zehn meñ maazī ke pas-manzar na rakkhūñgā
koī maskan na hogā ab mirī be-ḳhvāb rātoñ kā
maiñ apne dushmanoñ ke biich apnā ghar na rakkhūñgā
chalūñgā saath apne kārvān-e-sarḳhushī le kar
jilau meñ ab ġham-e-andoh kā lashkar na rakkhūñgā
mirā kyā hai mujhe kāñToñ pe so lene kī 'ādat hai
masāf-e-zindagī meñ bālish-o-bistar na rakkhūñgā
bahut mohtāt rahne par bhī aksar bhiig jaatā hai
maiñ koshish laakh kartā huuñ ki dāman tar na rakkhūñgā
bajā hai ai 'hazīñ' mujrim huuñ nā-karda gunāhī kā
magar ilzām jiine kā maiñ apne sar na rakkhūñgā
hazaron gham hain lekin bar-e-gham dil par na rakkhunga
ye nazuk aabgina us pe main patthar na rakkhunga
wo mausam wo faza wo saaten tere bichhaDne ki
main apne zehn mein mazi ke pas-manzar na rakkhunga
koi maskan na hoga ab meri be-KHwab raaton ka
main apne dushmanon ke bich apna ghar na rakkhunga
chalunga sath apne karwan-e-sarKHushi le kar
jilau mein ab gham-e-andoh ka lashkar na rakkhunga
mera kya hai mujhe kanTon pe so lene ki 'adat hai
masaf-e-zindagi mein baalish-o-bistar na rakkhunga
bahut mohtat rahne par bhi aksar bhig jata hai
main koshish lakh karta hun ki daman tar na rakkhunga
baja hai ai 'hazin' mujrim hun na-karda gunahi ka
magar ilzam jine ka main apne sar na rakkhunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.