hazaron lafz hain lekin har ek ki jeb Khaali hai
hazaron lafz hain lekin har ek ki jeb Khaali hai
Hamid Husain Hamid
MORE BYHamid Husain Hamid
hazāroñ lafz haiñ lekin har ik kī jeb ḳhālī hai
ye iflās-e-libās-e-shā.erī yaaro misālī hai
lage haiñ kaan āvāzoñ pe lekin lafz gūñge haiñ
guzarte mausamoñ kī dāstāñ sab se nirālī hai
kisī tārīf hī kī raushnī meñ aañkh khultī hai
batāne kī zarūrat hai ye kaalī raat kaalī hai
hamīñ tanhā nahīñ haiñ justujū kī dauḌ meñ lekin
hamīñ se kis liye phir aaj har zarra savālī hai
ye yaktā.ī hamārī ham se hī mansūb hai 'hāmid'
ye apnī vaz.a apnī tarz ḳhud ham ne nikālī hai
hazaron lafz hain lekin har ek ki jeb KHali hai
ye iflas-e-libas-e-shaeri yaro misali hai
lage hain kan aawazon pe lekin lafz gunge hain
guzarte mausamon ki dastan sab se nirali hai
kisi tarif hi ki raushni mein aankh khulti hai
batane ki zarurat hai ye kali raat kali hai
hamin tanha nahin hain justuju ki dauD mein lekin
hamin se kis liye phir aaj har zarra sawali hai
ye yaktai hamari hum se hi mansub hai 'hamid'
ye apni waza apni tarz KHud hum ne nikali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.