hazaron nala-kash gird-e-makan-e-yar rahte hain
hazāroñ nāla-kash gird-e-makān-e-yār rahte haiñ
ḳhudā rakkhe yahāñ bīmār hī bīmār rahte haiñ
na jaane kyā taras aaya jo pūchhā aaj darbāñ se
unheñ tum jānte ho jo pas-e-dīvār rahte haiñ
yahī vo sin hai jo muhtāj-e-ārā.ish nahīñ rahtā
hasīñ aksar javānī meñ gale kā haar rahte haiñ
unheñ āñkhoñ se ham bhī dekhne vaale haiñ gulshan meñ
tirī āñkhoñ meñ jo ai nargis-e-bīmār rahte haiñ
jo ādāb-e-mohabbat se abhī haiñ nā-balad 'safdar'
vahī bazm-e-hasīnāñ meñ zalīl-o-ḳhvār rahte haiñ
hazaron nala-kash gird-e-makan-e-yar rahte hain
KHuda rakkhe yahan bimar hi bimar rahte hain
na jaane kya taras aaya jo puchha aaj darban se
unhen tum jaante ho jo pas-e-diwar rahte hain
yahi wo sin hai jo muhtaj-e-araish nahin rahta
hasin aksar jawani mein gale ka haar rahte hain
unhen aankhon se hum bhi dekhne wale hain gulshan mein
teri aankhon mein jo ai nargis-e-bimar rahte hain
jo aadab-e-mohabbat se abhi hain na-balad 'safdar'
wahi bazm-e-hasinan mein zalil-o-KHwar rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.