hazaron pech-o-KHam aur justuju-e-daimi kab tak
hazaron pech-o-KHam aur justuju-e-daimi kab tak
Ustad Azmat Hussain Khan
MORE BYUstad Azmat Hussain Khan
hazāroñ pech-o-ḳham aur justujū-e-dā.imī kab tak
agar manzil koī shai hai to phir ye gumrahī kab tak
gurezāñ jāda-e-insāniyat se aadmī kab tak
chhupā.ī jā.egī tārīkiyoñ meñ raushnī kab tak
rahe koī pareshāñ-hāl-o-mahrūm-e-ḳhushī kab tak
sulagtī Dūbtī sahmī huī sī zindagī kab tak
zabāñ dī hai to phir hukm-e-zabāñ-bandī se kyā hāsil
ab izn-e-lab-kushā.ī de ye jabr-e-ḳhāmushī kab tak
dam-e-nazzāra ik sho'la sā chamkā hosh kho baiThe
nahīñ mā'lūm us ke baa'd ye hālat rahī kab tak
ijāzat ho agar to pūchh luuñ in hosh vāloñ se
rahegī bahs kā 'unvāñ mirī dīvāngī kab tak
taḌaptī chīḳhtī rotī huī ġhamnāk-o-afsurda
isī kā naam agar hai zindagī to zindagī kab tak
zarā bigḌe hue insāñ ko hosh aa jaa.e to pūchhūñ
ye ḳhud-bīnī kahāñ tak ye fareb-e-āgahī kab tak
nahīñ miltā to phir ḳhud apnā hissa chhīn le baḌh kar
ye majbūrī kī dhun par naġhma-e-bechārgī kab tak
koī āsūda-o-sairāb kyoñ hotā nahīñ 'maikash'
ye mai-ḳhāna hai maiḳhāne meñ daur-e-tishnagī kab tak
hazaron pech-o-KHam aur justuju-e-daimi kab tak
agar manzil koi shai hai to phir ye gumrahi kab tak
gurezan jada-e-insaniyat se aadmi kab tak
chhupai jaegi tarikiyon mein raushni kab tak
rahe koi pareshan-haal-o-mahrum-e-KHushi kab tak
sulagti Dubti sahmi hui si zindagi kab tak
zaban di hai to phir hukm-e-zaban-bandi se kya hasil
ab izn-e-lab-kushai de ye jabr-e-KHamushi kab tak
dam-e-nazzara ek sho'la sa chamka hosh kho baiThe
nahin ma'lum us ke ba'd ye haalat rahi kab tak
ijazat ho agar to puchh lun in hosh walon se
rahegi bahs ka 'unwan meri diwangi kab tak
taDapti chiKHti roti hui ghamnak-o-afsurda
isi ka nam agar hai zindagi to zindagi kab tak
zara bigDe hue insan ko hosh aa jae to puchhun
ye KHud-bini kahan tak ye fareb-e-agahi kab tak
nahin milta to phir KHud apna hissa chhin le baDh kar
ye majburi ki dhun par naghma-e-bechaargi kab tak
koi aasuda-o-sairab kyon hota nahin 'maikash'
ye mai-KHana hai maiKHane mein daur-e-tishnagi kab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.