hazaron raaz nihan hain dahan ke parde mein
hazāroñ raaz nihāñ haiñ dahan ke parde meñ
karoḌoñ nukte haiñ ik ik suḳhan ke parde meñ
nihāñ hai shāhid-e-matlab suḳhan ke parde meñ
zabān bol rahī hai dahan ke parde meñ
basā hai itr-e-mohabbat se jāma-e-hastī
chhupā hai kaun gul is pairahan ke parde meñ
nikāl laayā unheñ shauq ḳhud-numā.ī kā
vo aisī shaan se baiThe the ban ke parde meñ
ġhazab kā parda-nashīñ hai vo shoḳh harjā.ī
har anjuman meñ hai har anjuman ke parde meñ
khulā sabab hameñ lailā kī jāma-zebī kā
ki rūh-e-qais hai us pairahan ke parde meñ
daroñ pe jin ke the zarbaft ke paḌe parde
us us makāñ ke makīñ haiñ kafan ke parde meñ
jo dekhā ahl-e-basīrat ne donoñ ko to kahā
huzūr hī haiñ husain-o-hasan ke parde meñ
najāt ahl-e-gunāh ko kahīñ nahīñ 'akbar'
abas chhupā hai tū jā kar kafan ke parde meñ
hazaron raaz nihan hain dahan ke parde mein
karoDon nukte hain ek ek suKHan ke parde mein
nihan hai shahid-e-matlab suKHan ke parde mein
zaban bol rahi hai dahan ke parde mein
basa hai itr-e-mohabbat se jama-e-hasti
chhupa hai kaun gul is pairahan ke parde mein
nikal laya unhen shauq KHud-numai ka
wo aisi shan se baiThe the ban ke parde mein
ghazab ka parda-nashin hai wo shoKH harjai
har anjuman mein hai har anjuman ke parde mein
khula sabab hamein laila ki jama-zebi ka
ki ruh-e-qais hai us pairahan ke parde mein
daron pe jin ke the zarbaft ke paDe parde
us us makan ke makin hain kafan ke parde mein
jo dekha ahl-e-basirat ne donon ko to kaha
huzur hi hain husain-o-hasan ke parde mein
najat ahl-e-gunah ko kahin nahin 'akbar'
abas chhupa hai tu ja kar kafan ke parde mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.