Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hazaron Thokaren kha kar hain is darbar tak pahunche

Saadi Gilani

hazaron Thokaren kha kar hain is darbar tak pahunche

Saadi Gilani

MORE BYSaadi Gilani

    hazāroñ Thokareñ khā kar haiñ is darbār tak pahuñche

    baḌī mushkil se haiñ ham is gul-e-gulzār tak pahuñche

    tirī qismat meñ haiñ vā'iz yahī bāteñ yahī qisse

    nahīñ qismat tirī jalva-gāh-e-yār tak pahuñche

    balā se 'arsh par pahuñche na pahuñche ye fuġhāñ merī

    ise itnī rasā.ī de dayār-e-yār tak pahuñche

    chale aao digar-gūñ hai mire anfās 'ālam

    ki ab ye āḳhirī gintī meñ haiñ do chaar tak pahuñche

    nahīñ aanā agar ḳhud to koī paiġhām bhijvā de

    are kuchh to davā-dārū tire bīmār tak pahuñche

    milā jab hashr meñ ham ko ḳhudā ke 'arsh saaya

    huā mahsūs tere sāya-e-dīvār tak pahuñche

    abhī se hosh tum ne kho diye aur baat karte ho

    abhī mushkil se 'sā'dī' the ḳhayāl-e-yār tak pahuñche

    hazaron Thokaren kha kar hain is darbar tak pahunche

    baDi mushkil se hain hum is gul-e-gulzar tak pahunche

    teri qismat mein hain wa'iz yahi baaten yahi qisse

    nahin qismat teri tu jalwa-gah-e-yar tak pahunche

    bala se 'arsh par pahunche na pahunche ye fughan meri

    ise itni rasai de dayar-e-yar tak pahunche

    chale aao digar-gun hai mere anfas ka 'alam

    ki ab ye aaKHiri ginti mein hain do chaar tak pahunche

    nahin aana agar KHud to koi paigham bhijwa de

    are kuchh to dawa-daru tere bimar tak pahunche

    mila jab hashr mein hum ko KHuda ke 'arsh ka saya

    hua mahsus tere saya-e-diwar tak pahunche

    abhi se hosh tum ne kho diye aur baat karte ho

    abhi mushkil se 'sa'di' the KHayal-e-yar tak pahunche

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now