hazar ki aaKHiri had ka azab hona paDa
hazar kī āḳhirī had kā azaab honā paḌā
hameñ bhī maslahatan bāzyāb honā paḌā
tire havās pe taarī thā ab bichhaḌ jaanā
maiñ hosh meñ thī magar nīm-ḳhvāb honā paḌā
hameñ koī to sune ek aarzū meñ faqat
kisī ke haath meñ khele rabāb honā paḌā
tirī kitāb kā har lafz jis kā chehra thā
ye kyā sitam ki use sirf baab honā paḌā
tū shaah thā hī nahīñ faqr terā pesha thā
ho ḳhair terī tujhe kyoñ ḳharāb honā paḌā
hazar ki aaKHiri had ka azab hona paDa
hamein bhi maslahatan bazyab hona paDa
tere hawas pe tari tha ab bichhaD jaana
main hosh mein thi magar nim-KHwab hona paDa
hamein koi to sune ek aarzu mein faqat
kisi ke hath mein khele rabab hona paDa
teri kitab ka har lafz jis ka chehra tha
ye kya sitam ki use sirf bab hona paDa
tu shah tha hi nahin faqr tera pesha tha
ho KHair teri tujhe kyon KHarab hona paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.