hazrat-e-dil ka tere nam se uThna girna
hazrat-e-dil kā tire naam se uThnā girnā
vahī pahle kī tarah shaam se uThnā girnā
phir chale jā.eñge vo phir vahī furqat hogī
kis liye vasl ke hangām se uThnā girnā
kis ko fursat hai yahāñ kaun aziyyat degā
vo to bas vahshat-e-ālām se uThnā girnā
maiñ mohazzab huuñ mire saath adab se baiTho
maiñ chalā jā.ūñ to ārām se uThnā girnā
jab tumheñ mujh se zarā sī bhī mohabbat na rahī
to ġhalat hai na mire naam se uThnā girnā
hazrat-e-dil ka tere nam se uThna girna
wahi pahle ki tarah sham se uThna girna
phir chale jaenge wo phir wahi furqat hogi
kis liye wasl ke hangam se uThna girna
kis ko fursat hai yahan kaun aziyyat dega
wo to bas wahshat-e-alam se uThna girna
main mohazzab hun mere sath adab se baiTho
main chala jaun to aaram se uThna girna
jab tumhein mujh se zara si bhi mohabbat na rahi
to ghalat hai na mere nam se uThna girna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.