hiddat-e-shauq se jalte hain shararon ke hujum
hiddat-e-shauq se jalte haiñ sharāroñ ke hujūm
āsmāñ se utar aa.e haiñ sitāroñ ke hujūm
ġharq ho jaa.eñ samundar meñ kahīñ sochā thā
haa.e qismat hameñ milte haiñ kināroñ ke hujūm
jaan ko apnī chhuḌā laa.eñ haiñ vīrānoñ meñ
shahr meñ jaan ko aate haiñ sahāroñ ke hujūm
kitne pur-kaif haiñ rañgīn ḳhizāñ ke mausam
jī jalāte haiñ bahārāñ meñ bahāroñ ke hujūm
ek manzar ki rahī yaad hamesha ham ko
garche vābasta rahe ham se nazāroñ ke hujūm
dil kī vābastagī ik shaḳhs se mashrūt rahī
yuuñ to milte hī rahe ziist meñ yāroñ ke hujūm
aaj is shahr-e-ḳhamoshāñ meñ chale aa.e haiñ
zindagī tū ne basā.e haiñ ye pyāroñ ke hujūm
yūñhī chup-chāp palaT aa.e haiñ ḳhāmoshī se
ham se dekhe na ga.e dard ke māroñ ke hujūm
dasht meñ yuuñ milā karte haiñ mohabbat se hameñ
paañv dharte haiñ to milte haiñ ye ḳhāroñ ke hujūm
hiddat-e-shauq se jalte hain shararon ke hujum
aasman se utar aae hain sitaron ke hujum
gharq ho jaen samundar mein kahin socha tha
hae qismat hamein milte hain kinaron ke hujum
jaan ko apni chhuDa laen hain viranon mein
shahr mein jaan ko aate hain sahaaron ke hujum
kitne pur-kaif hain rangin KHizan ke mausam
ji jalate hain bahaaran mein bahaaron ke hujum
ek manzar ki rahi yaad hamesha hum ko
garche wabasta rahe hum se nazaron ke hujum
dil ki wabastagi ek shaKHs se mashrut rahi
yun to milte hi rahe zist mein yaron ke hujum
aaj is shahr-e-KHamoshan mein chale aae hain
zindagi tu ne basae hain ye pyaron ke hujum
yunhi chup-chap palaT aae hain KHamoshi se
hum se dekhe na gae dard ke maron ke hujum
dasht mein yun mila karte hain mohabbat se hamein
panw dharte hain to milte hain ye KHaron ke hujum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.