hifazat ka nasha phaila to phir nuqsan pahuncha
hifāzat kā nasha phailā to phir nuqsān pahuñchā
hiran us vaqt dauḌā jab shikārī aan pahuñchā
samundar raat kā thā jab safar kī kashtiyāñ thiiñ
jazīra Dūbne vaalā thā aur mehmān pahuñchā
kahīñ raste tire mahdūd hote jā rahe the
maiñ tere vāste le kar ka.ī imkān pahuñchā
du'ā.eñ bāzuoñ par bāñdh kar ham jā chuke the
hamāre shahr meñ jab maut kā farmān pahuñchā
'ajab mehmān kā 'ālam thā jab us ne sadā dī
'ajab ghar-bār kā 'ālam thā jab mehmān pahuñchā
hifazat ka nasha phaila to phir nuqsan pahuncha
hiran us waqt dauDa jab shikari aan pahuncha
samundar raat ka tha jab safar ki kashtiyan thin
jazira Dubne wala tha aur mehman pahuncha
kahin raste tere mahdud hote ja rahe the
main tere waste le kar kai imkan pahuncha
du'aen bazuon par bandh kar hum ja chuke the
hamare shahr mein jab maut ka farman pahuncha
'ajab mehman ka 'alam tha jab us ne sada di
'ajab ghar-bar ka 'alam tha jab mehman pahuncha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.