hijab aane laga ab to bala-e-asmani ko
hijāb aane lagā ab to balā-e-āsmānī ko
ḳhudā rakkhe salāmat tere nāz-e-bāġhbānī ko
muqayyad jo rakhe lafzoñ kī duniyā meñ ma.ānī ko
salām us sher-goī ko salām us sher-ḳhvānī ko
mohabbat kirdgār-e-ġham hai ġham taḳhlīq kartī hai
mohabbat karne vaale bhuul jaa.eñ shādmānī ko
shikāyat to mohabbat hī kā ik tab.ī natīja hai
mohabbat hī havā detī hai har ik bad-gumānī ko
hameñ zulfoñ ke saa.e meñ mayassar kis tarah hotī
ik aisī dhuup jo sargarm rakhtī naujavānī ko
ġham-e-duniyā to kyā 'ehsāñ' ġham-e-jānāñ ne kab baḳhshā
ik aisā dard jo bedār kar de zindagānī ko
garebāñ chaak hai 'ehsān' to fikr-e-rafū kyoñ hai
koī barbād kartā hai mohabbat kī nishānī ko
hijab aane laga ab to bala-e-asmani ko
KHuda rakkhe salamat tere naz-e-baghbani ko
muqayyad jo rakhe lafzon ki duniya mein maani ko
salam us sher-goi ko salam us sher-KHwani ko
mohabbat kirdgar-e-gham hai gham taKHliq karti hai
mohabbat karne wale bhul jaen shadmani ko
shikayat to mohabbat hi ka ek tabi natija hai
mohabbat hi hawa deti hai har ek bad-gumani ko
hamein zulfon ke sae mein mayassar kis tarah hoti
ek aisi dhup jo sargarm rakhti naujawani ko
gham-e-duniya to kya 'ehsan' gham-e-jaanan ne kab baKHsha
ek aisa dard jo bedar kar de zindagani ko
gareban chaak hai 'ehsan' to fikr-e-rafu kyon hai
koi barbaad karta hai mohabbat ki nishani ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.