hijab-e-husn mein ya husn-e-be-hijab mein hai
hijāb-e-husn meñ yā husn-e-be-hijāb meñ hai
ye raushnī kā safar aks-e-māhtāb meñ hai
yaqīñ gumāñ ho to manzil kī samt nā-ma.alūm
abhī safar kā irāda fusūn-e-ḳhvāb meñ hai
azāb-e-jāñ se mujh kis tarah najāt mile
ki merā naam abhī harf-e-ehtisāb meñ hai
milegā ajr kisī din jazā kī sūrat meñ
abhī sazā kā ḳhasāra mire hisāb meñ hai
hanūz dard kī lazzat se āshnā huuñ maiñ
sukūn mujh ko mayassar jo iztirāb meñ hai
havā bhī ab hai nigūñ-sār shāḳh-e-gul pe kahīñ
abhī to mauj bhī sāhil pe naqsh-e-āb meñ hai
maiñ apne ghar meñ huuñ lekin ye vahm hai dil meñ
mirā vajūd abhī dasht-e-be-sarāb meñ hai
mujhe bhī daulat-e-sher-o-suḳhan nasīb huī
ajiib husn atā us ke intiḳhāb meñ hai
ye qarz jaañ kā 'sabā' mujh se kab adā hogā
hunūz silsila-e-roz-o-shab hisāb meñ hai
hijab-e-husn mein ya husn-e-be-hijab mein hai
ye raushni ka safar aks-e-mahtab mein hai
yaqin guman ho to manzil ki samt na-malum
abhi safar ka irada fusun-e-KHwab mein hai
azab-e-jaan se mujh kis tarah najat mile
ki mera nam abhi harf-e-ehtisab mein hai
milega ajr kisi din jaza ki surat mein
abhi saza ka KHasara mere hisab mein hai
hanuz dard ki lazzat se aashna hun main
sukun mujh ko mayassar jo iztirab mein hai
hawa bhi ab hai nigun-sar shaKH-e-gul pe kahin
abhi to mauj bhi sahil pe naqsh-e-ab mein hai
main apne ghar mein hun lekin ye wahm hai dil mein
mera wajud abhi dasht-e-be-sarab mein hai
mujhe bhi daulat-e-sher-o-suKHan nasib hui
ajib husn ata us ke intiKHab mein hai
ye qarz jaan ka 'saba' mujh se kab ada hoga
hunuz silsila-e-roz-o-shab hisab mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.