hijazi rang mein jo rang-e-irfan dekh lete hain
hijazi rang mein jo rang-e-irfan dekh lete hain
Raj Kumari Suraj Kala Sarwar
MORE BYRaj Kumari Suraj Kala Sarwar
hijāzī rang meñ jo rang-e-irfāñ dekh lete haiñ
vo apne kufr meñ bhī nūr-e-īmāñ dekh lete haiñ
kabhī rahtā thā ġham pā-e-talab manzil ke dāman meñ
magar ab paañv ko manzil-ba-dāmāñ dekh lete haiñ
chhupe jā tū nazar se laakh dil se chhup nahīñ saktā
tirī tanvīr nazdīk-e-rag-e-jāñ dekh lete haiñ
bas itnī rah ga.ī hai ab qafas meñ surḳhī-e-gulshan
bahāreñ yaad aatī haiñ to dāmāñ dekh lete haiñ
junūn-e-shauq zindabād tū ne vo nigāheñ diiñ
ki ghar baiThe hue terā bayābāñ dekh lete haiñ
niyāz-e-ishq se yuuñ be-niyāz-e-ishq ban baiThe
ki apnī shakl meñ ab rū-e-jānāñ dekh lete haiñ
vo jazb-e-shauq ab sayyād hai terī ināyat se
qafas meñ qaid rakh kar bhī gulistāñ dekh lete haiñ
ye kis ne khol dī hai aañkh dil kī is tarah 'sarvar'
jahāñ palkeñ jhukeñ ham husn-e-jānāñ dekh lete haiñ
hijazi rang mein jo rang-e-irfan dekh lete hain
wo apne kufr mein bhi nur-e-iman dekh lete hain
kabhi rahta tha gham pa-e-talab manzil ke daman mein
magar ab panw ko manzil-ba-daman dekh lete hain
chhupe ja tu nazar se lakh dil se chhup nahin sakta
teri tanwir nazdik-e-rag-e-jaan dekh lete hain
bas itni rah gai hai ab qafas mein surKHi-e-gulshan
bahaaren yaad aati hain to daman dekh lete hain
junun-e-shauq zindabaad tu ne wo nigahen din
ki ghar baiThe hue tera bayaban dekh lete hain
niyaz-e-ishq se yun be-niyaz-e-ishq ban baiThe
ki apni shakl mein ab ru-e-jaanan dekh lete hain
wo jazb-e-shauq ab sayyaad hai teri inayat se
qafas mein qaid rakh kar bhi gulistan dekh lete hain
ye kis ne khol di hai aankh dil ki is tarah 'sarwar'
jahan palken jhuken hum husn-e-jaanan dekh lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.