hijr aur waslaton mein uljha hai
hijr aur vaslatoñ meñ uljhā hai
dil ye kin uljhanoñ meñ uljhā hai
dard hamdard DhūñDhtā hai magar
har koī mas.aloñ meñ uljhā hai
kuchh dinoñ se nazar nahīñ aayā
chāñd kin bādaloñ meñ uljhā hai
ek dil hai mirā magar ye bhī
aap kī hasratoñ meñ uljhā hai
us ko fursat nahīñ ki vo mere
qatl kī sāzishoñ meñ uljhā hai
ġham ḳhushī kuchh nahīñ samajhte haiñ
tū bhī kyā be-hisoñ meñ uljhā hai
dekh kar kuchh samajh nahīñ aatā
kaun kin koshishoñ meñ uljhā hai
har ḳhushī ġham hai aaj shahroñ meñ
aur dukh bastiyoñ meñ uljhā hai
uf ye 'āzād' bhī hai dīvāna
apne hī qātiloñ meñ uljhā hai
hijr aur waslaton mein uljha hai
dil ye kin uljhanon mein uljha hai
dard hamdard DhunDhta hai magar
har koi masalon mein uljha hai
kuchh dinon se nazar nahin aaya
chand kin baadalon mein uljha hai
ek dil hai mera magar ye bhi
aap ki hasraton mein uljha hai
us ko fursat nahin ki wo mere
qatl ki sazishon mein uljha hai
gham KHushi kuchh nahin samajhte hain
tu bhi kya be-hison mein uljha hai
dekh kar kuchh samajh nahin aata
kaun kin koshishon mein uljha hai
har KHushi gham hai aaj shahron mein
aur dukh bastiyon mein uljha hai
uf ye 'azad' bhi hai diwana
apne hi qatilon mein uljha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.