hijr de kar na aazma mujhko
hijr de kar na aazmā mujh ko
chand lamhe tū kar atā mujh ko
tīrgī aañkh se miTānī hai
raushnī aa gale lagā mujh ko
mere hone se terā honā ho
apne pahlū meñ yuuñ biThā mujh ko
terā aanā bhī ek ne.amat hai
jaise rahmat ne aa liyā mujh ko
maiñ duā ban ke arsh tak pahuñchūñ
apne hoñToñ pe yuuñ sajā mujh ko
phir nigāheñ badal ga.iiñ terī
phir adhūrā sā kar diyā mujh ko
maiñ ne us ko parakh liyā 'ushba'
koī khaTkā nahīñ rahā mujh ko
hijr de kar na aazma mujh ko
chand lamhe tu kar ata mujh ko
tirgi aankh se miTani hai
raushni aa gale laga mujh ko
mere hone se tera hona ho
apne pahlu mein yun biTha mujh ko
tera aana bhi ek neamat hai
jaise rahmat ne aa liya mujh ko
main dua ban ke arsh tak pahunchun
apne honTon pe yun saja mujh ko
phir nigahen badal gain teri
phir adhura sa kar diya mujh ko
main ne us ko parakh liya 'ushba'
koi khaTka nahin raha mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.