hijr-e-be-mehr se aazad hua chahte hain
hijr-e-be-mehr se āzād huā chāhte haiñ
din nikaltā hai to shab-zād huā chāhte haiñ
ne.amateñ pā ke bhī ḳhush hote nahīñ haiñ kuchh log
aur kuchh sāhib-e-aulād huā chāhte haiñ
kaash ik baar vo siine se lagā le ham ko
chand lamhe hī sahī shaad huā chāhte haiñ
ek lamhe ke liye bhuul na paa.eñ ham ko
ham unheñ misl-e-duā yaad huā chāhte haiñ
ishq vo sā.at-e-imkāñ hai jo Dhaltī hī nahīñ
ham isī vāste farhād huā chāhte haiñ
'altamash' Thahrā thā ik qāfila pyāsoñ kā jahāñ
ham usī dasht kī rūdād huā chāhte haiñ
hijr-e-be-mehr se aazad hua chahte hain
din nikalta hai to shab-zad hua chahte hain
neamaten pa ke bhi KHush hote nahin hain kuchh log
aur kuchh sahib-e-aulad hua chahte hain
kash ek bar wo sine se laga le hum ko
chand lamhe hi sahi shad hua chahte hain
ek lamhe ke liye bhul na paen hum ko
hum unhen misl-e-dua yaad hua chahte hain
ishq wo saat-e-imkan hai jo Dhalti hi nahin
hum isi waste farhad hua chahte hain
'altamash' Thahra tha ek qafila pyason ka jahan
hum usi dasht ki rudad hua chahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.