hijr-e-jaanan mein bhi yun lutf liya karte hain
hijr-e-jaanan mein bhi yun lutf liya karte hain
Dr. Bhawana Srivastava
MORE BYDr. Bhawana Srivastava
hijr-e-jānāñ meñ bhī yuuñ lutf liyā karte haiñ
dhuup meñ baiTh ke sāyoñ ko takā karte haiñ
kyā 'ajab hai ki kabhī ham ko mayassar na huā
ek vo din jise ham roz jiyā karte haiñ
ham se milnā ho to din Dhalne talak aa jaanā
shaam se jism meñ ham kam hī rahā karte haiñ
raushnī karte haiñ maazī ke gharoñdoñ meñ kabhī
aur fardā meñ kabhī phuul chunā karte haiñ
raat ke vaqt 'ajab mo'jiza sā hotā hai
dar-o-dīvār pe ash'ār ugā karte haiñ
hijr-e-jaanan mein bhi yun lutf liya karte hain
dhup mein baiTh ke sayon ko taka karte hain
kya 'ajab hai ki kabhi hum ko mayassar na hua
ek wo din jise hum roz jiya karte hain
hum se milna ho to din Dhalne talak aa jaana
sham se jism mein hum kam hi raha karte hain
raushni karte hain mazi ke gharondon mein kabhi
aur farda mein kabhi phul chuna karte hain
raat ke waqt 'ajab mo'jiza sa hota hai
dar-o-diwar pe ash'ar uga karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.