hijr hijrat se siwa ho gaya ghar aate hi
hijr hijrat se sivā ho gayā ghar aate hī
maiñ to ḳhud se bhī judā ho gayā ghar aate hī
aise so.e haiñ ki martā bhī na hogā koī
jāgte rahnā balā ho gayā ghar aate hī
maiñ gunahgār-e-safar thā mujhe kyā niiñd aatī
maiñ to masrūf-e-duā ho gayā ghar aate hī
maiñ ne sochā thā ki ghar jā ke manā lūñgā use
dil to kuchh aur ḳhafā ho gayā ghar aate hī
ek dastak kā baḌā qarz thā mujh par 'āsim'
aur vo qarz adā ho gayā ghar aate hī
hijr hijrat se siwa ho gaya ghar aate hi
main to KHud se bhi juda ho gaya ghar aate hi
aise soe hain ki marta bhi na hoga koi
jagte rahna bala ho gaya ghar aate hi
main gunahgar-e-safar tha mujhe kya nind aati
main to masruf-e-dua ho gaya ghar aate hi
main ne socha tha ki ghar ja ke mana lunga use
dil to kuchh aur KHafa ho gaya ghar aate hi
ek dastak ka baDa qarz tha mujh par 'asim'
aur wo qarz ada ho gaya ghar aate hi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.