hijr inam-e-wafa ho jaise
hijr in.ām-e-vafā ho jaise
jurm-e-ulfat kī sazā ho jaise
dāġh-e-dil aaj bhī lau detā hai
terā naqsh-e-kaf-e-pā ho jaise
rahrav-e-rāh-e-vafā se pūchho
har-nafas karb-o-balā ho jaise
dil meñ ye josh-e-tarab to dekho
dard bhī koī davā ho jaise
yuuñ har ik ḳhat ko takā kartā huuñ
mere hī naam likhā ho jaise
ġhaur se ahl-e-qafas haañ sunñā
jaras-e-gul kī sadā ho jaise
ek taa.ir nazar aayā hai abhī
hudhud-e-shahr-e-sabā ho jaise
tesha-zan koī nihāñ thā mujh meñ
vo bhī ab mar sā gayā ho jaise
mere ash.ār vo yuuñ paḌhtā hai
aa.ina dekh rahā ho jaise
yuuñ havā chīḳh rahī hai ban meñ
dil use DhūñD rahā ho jaise
ye tirā 'jābir'-e-shīrīñ-guftār
ḳhusrav-e-shahr-e-navā ho jaise
hijr inam-e-wafa ho jaise
jurm-e-ulfat ki saza ho jaise
dagh-e-dil aaj bhi lau deta hai
tera naqsh-e-kaf-e-pa ho jaise
rahraw-e-rah-e-wafa se puchho
har-nafas karb-o-bala ho jaise
dil mein ye josh-e-tarab to dekho
dard bhi koi dawa ho jaise
yun har ek KHat ko taka karta hun
mere hi nam likha ho jaise
ghaur se ahl-e-qafas han sunna
jaras-e-gul ki sada ho jaise
ek tair nazar aaya hai abhi
hudhud-e-shahr-e-saba ho jaise
tesha-zan koi nihan tha mujh mein
wo bhi ab mar sa gaya ho jaise
mere ashaar wo yun paDhta hai
aaina dekh raha ho jaise
yun hawa chiKH rahi hai ban mein
dil use DhunD raha ho jaise
ye tera 'jabir'-e-shirin-guftar
KHusraw-e-shahr-e-nawa ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.