hijr ka mujhko wo sadma lag gaya
hijr kā mujh ko vo sadma lag gayā
kuchh samajh paane meñ arsa lag gayā
dil meñ jaise koī mela lag gayā
haath mere us kā jhumkā lag gayā
is meñ kyā tum ko anokhā lag gayā
koī achchhā thā so achchhā lag gayā
ham to majbūrī meñ hañste haiñ huzūr
aap kahiye aap ko kyā lag gayā
ġhair kī bāheñ tujhe achchhī lagīñ
kaise andhe se nishānā lag gayā
raat meñ jag jag ke tere messages
paḌhte paḌhte mujh ko chashma lag gayā
ab kisī dariyā se kyā bahlā.eñ man
pyaas kā hoñToñ ko chaska lag gayā
aur phir sūraj kabhī niklā nahīñ
jab se us khiḌkī pe pardā lag gayā
yaar us ke bhī to āshiq haiñ bahut
phir ġhalat number pe paisa lag gayā
hijr ka mujh ko wo sadma lag gaya
kuchh samajh pane mein arsa lag gaya
dil mein jaise koi mela lag gaya
hath mere us ka jhumka lag gaya
is mein kya tum ko anokha lag gaya
koi achchha tha so achchha lag gaya
hum to majburi mein hanste hain huzur
aap kahiye aap ko kya lag gaya
ghair ki bahen tujhe achchhi lagin
kaise andhe se nishana lag gaya
raat mein jag jag ke tere messages
paDhte paDhte mujh ko chashma lag gaya
ab kisi dariya se kya bahlaen man
pyas ka honTon ko chaska lag gaya
aur phir suraj kabhi nikla nahin
jab se us khiDki pe parda lag gaya
yar us ke bhi to aashiq hain bahut
phir ghalat number pe paisa lag gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.