hijr ka sog manana kabhi dariya rona
hijr kā sog manānā kabhī dariyā ronā
yaad kar ke tujhe hañsnā kabhī ronā ronā
kyā batā.ūñ use kis baat pe hañste dekhā
kyā batā.ūñ mujhe kis baat pe aaya ronā
kaise bhūlūñgā vo bebāk adā.eñ us kī
us kī bāteñ to vo hañsnā vo lipaTnā ronā
baat auroñ kī nahīñ tū to mirā apnā thā
kaash tujh ko nazar aatā mire dil kā ronā
koī to baat use itnā rulātī hogī
achchhā lagtā hai kise TuuT ke tanhā ronā
tum to ḳhush the na mujhe chhoḌ ke jāte-jāte
vaqt-e-ruḳhsat tumheñ kis baat pe aaya ronā
muddatoñ baad ye ehsās huā hai 'rāhī'
muddatoñ baad phir aaya mujhe itnā ronā
hijr ka sog manana kabhi dariya rona
yaad kar ke tujhe hansna kabhi rona rona
kya bataun use kis baat pe hanste dekha
kya bataun mujhe kis baat pe aaya rona
kaise bhulunga wo bebak adaen us ki
us ki baaten to wo hansna wo lipaTna rona
baat auron ki nahin tu to mera apna tha
kash tujh ko nazar aata mere dil ka rona
koi to baat use itna rulati hogi
achchha lagta hai kise TuT ke tanha rona
tum to KHush the na mujhe chhoD ke jate-jate
waqt-e-ruKHsat tumhein kis baat pe aaya rona
muddaton baad ye ehsas hua hai 'rahi'
muddaton baad phir aaya mujhe itna rona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.