hijr ke bojh ko Dhona bhi nahin aata hai
hijr ke bojh ko Dhona bhi nahin aata hai
Zubair Ahmad Tanha Malik Rampuri
MORE BYZubair Ahmad Tanha Malik Rampuri
hijr ke bojh ko Dhonā bhī nahīñ aatā hai
ab mujhe phuuT ke ronā bhī nahīñ aatā hai
ik sitam ye hai tujhe bhuul nahīñ paate haiñ
aur kisī aur kā honā bhī nahīñ aatā hai
un ke hāthoñ se hī ġhurbat ne kitābeñ chhīnī
jin ke hāthoñ meñ khilaunā bhī nahīñ aatā hai
pyaar ke baaġh meñ nafrat ko ugā.ūñ kaise
mujh ko to biij ye bonā bhī nahīñ aatā hai
siskiyāñ sun ke mirī raat paḌosī ne kahā
kyā tujhe raat meñ sonā bhī nahīñ aatā hai
us ko maḳhmal ke bhī bistar se shikāyat hai 'malik'
mere hisse meñ bichhaunā bhī nahīñ aatā hai
hijr ke bojh ko Dhona bhi nahin aata hai
ab mujhe phuT ke rona bhi nahin aata hai
ek sitam ye hai tujhe bhul nahin pate hain
aur kisi aur ka hona bhi nahin aata hai
un ke hathon se hi ghurbat ne kitaben chhini
jin ke hathon mein khilauna bhi nahin aata hai
pyar ke bagh mein nafrat ko ugaun kaise
mujh ko to bij ye bona bhi nahin aata hai
siskiyan sun ke meri raat paDosi ne kaha
kya tujhe raat mein sona bhi nahin aata hai
us ko maKHmal ke bhi bistar se shikayat hai 'malik'
mere hisse mein bichhauna bhi nahin aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.