hijr ke jam se sairab raha karte the
hijr ke jaam se sairāb rahā karte the
mausam-e-ġham meñ numū-yāb rahā karte the
diid kī shart na thī ishq ke afsāne meñ
ham tujhe soch ke shādāb rahā karte the
terī āñkhoñ meñ damakte the sitāroñ kī tarah
ḳhvāb the aur pas-e-ḳhvāb rahā karte the
mujh se kahtī hai ye siine meñ dhaḌaktī huī barf
yaañ kabhī abr-o-gil-o-āb rahā karte the
dasht haiñ ab mirī āñkheñ to karam hai terā
varna pahle yahāñ sailāb rahā karte the
pās-e-nāmūs-e-mohabbat meñ jiye the kuchh log
shahr meñ ham se ḳhush-ādāb rahā karte the
jab mayassar thā hameñ vo to shaboñ meñ apnī
ka.ī sūraj ka.ī mahtāb rahā karte the
titliyāñ thiiñ tirī āñkheñ ki jinheñ phuul se lab
baḌh ke chhū lene ko betāb rahā karte the
hijr ke jam se sairab raha karte the
mausam-e-gham mein numu-yab raha karte the
did ki shart na thi ishq ke afsane mein
hum tujhe soch ke shadab raha karte the
teri aankhon mein damakte the sitaron ki tarah
KHwab the aur pas-e-KHwab raha karte the
mujh se kahti hai ye sine mein dhaDakti hui barf
yan kabhi abr-o-gil-o-ab raha karte the
dasht hain ab meri aankhen to karam hai tera
warna pahle yahan sailab raha karte the
pas-e-namus-e-mohabbat mein jiye the kuchh log
shahr mein hum se KHush-adab raha karte the
jab mayassar tha hamein wo to shabon mein apni
kai suraj kai mahtab raha karte the
titliyan thin teri aankhen ki jinhen phul se lab
baDh ke chhu lene ko betab raha karte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.