hijr ke mare kiwaDon se purane se ye KHwab
hijr ke maare kivāḌoñ se purāne se ye ḳhvāb
ashk ban kar nikal aate haiñ bahāne se ye ḳhvāb
raat bhar jāgtā rahtā hai isī soch meñ dil
chale jaa.eñ na kahīñ niiñd ke aane se ye ḳhvāb
pā.eñtī se ho lagā sar to sukūñ hai varna
uTh ke aa jaate haiñ āñkhoñ meñ sirhāne se ye ḳhvāb
is liye bhī to nahīñ niiñd meñ chaltā huuñ maiñ tez
ḳhaak ho jaa.eñ na phir ḳhaak uḌāne se ye ḳhvāb
yaad aate hī diye meñ bhaḌak uThtī hai vo lau
baaz aate hī nahīñ siina jalāne se ye ḳhvāb
bhuul kar bhī na kahīñ tazkira karnā un kā
ki dobāra nahīñ aate haiñ sunāne se ye ḳhvāb
jāgtā rahtā hai āñkhoñ meñ ga.ī shab kā malāl
aur chhupte hī nahīñ laakh chhupāne se ye ḳhvāb
nahīñ miltā hai agar aks to jhuñjhlā ke maiñ phir
khīñch laatā huuñ tire ā.ina-ḳhāne se ye ḳhvāb
hijr ke mare kiwaDon se purane se ye KHwab
ashk ban kar nikal aate hain bahane se ye KHwab
raat bhar jagta rahta hai isi soch mein dil
chale jaen na kahin nind ke aane se ye KHwab
paenti se ho laga sar to sukun hai warna
uTh ke aa jate hain aankhon mein sirhane se ye KHwab
is liye bhi to nahin nind mein chalta hun main tez
KHak ho jaen na phir KHak uDane se ye KHwab
yaad aate hi diye mein bhaDak uThti hai wo lau
baz aate hi nahin sina jalane se ye KHwab
bhul kar bhi na kahin tazkira karna un ka
ki dobara nahin aate hain sunane se ye KHwab
jagta rahta hai aankhon mein gai shab ka malal
aur chhupte hi nahin lakh chhupane se ye KHwab
nahin milta hai agar aks to jhunjhla ke main phir
khinch lata hun tere aaina-KHane se ye KHwab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.