hijr ke mausam-e-tanhai ke dukh dekhe
hijr ke mausam-e-tanhā.ī ke dukh dekhe
ik chehre ke pīchhe kitne dukh dekhe
ik sannāTā pahroñ ḳhuun rulātā hai
ik āvāz kī ḳhātir kaise dukh dekhe
maiñ bhī apnī zaat meñ tanhā phirtā huuñ
tum ne bhī be-ḳhvāb rutoñ ke dukh dekhe
jin bachchoñ ne hañsnā bhī na sīkhā thā
un bachchoñ ne sab se pahle dukh dekhe
tum ko dekhā hai to ye mahsūs huā
kaise murjhāte haiñ chehre dukh dekhe
ham donoñ ne ik duuje ko jaan liyā
ham donoñ ne ik duuje ke dukh dekhe
jis ko jiinā hai duniyā meñ dastūran
lāzim hai vo sab se pahle dukh dekhe
ab logoñ ke chehroñ par ye likkhā hai
in logoñ ne sukh ke badle dukh dekhe
ham logoñ kā bachpan kaisā bachpan thā
ham logoñ ne kaise kaise dukh dekhe
raat ga.e tak maiñ ne us kī yādoñ meñ
jaise sher likhe the vaise dukh dekhe
'dānish' kaisā karb chhupā.e phirtā hai
sher kahe rātoñ ko jaage dukh dekhe
'dānish' ham ne jis rut meñ jiinā sīkhā
vo rut guzrī sapne TuuTe dukh dekhe
hijr ke mausam-e-tanhai ke dukh dekhe
ek chehre ke pichhe kitne dukh dekhe
ek sannaTa pahron KHun rulata hai
ek aawaz ki KHatir kaise dukh dekhe
main bhi apni zat mein tanha phirta hun
tum ne bhi be-KHwab ruton ke dukh dekhe
jin bachchon ne hansna bhi na sikha tha
un bachchon ne sab se pahle dukh dekhe
tum ko dekha hai to ye mahsus hua
kaise murjhate hain chehre dukh dekhe
hum donon ne ek duje ko jaan liya
hum donon ne ek duje ke dukh dekhe
jis ko jina hai duniya mein dasturan
lazim hai wo sab se pahle dukh dekhe
ab logon ke chehron par ye likkha hai
in logon ne sukh ke badle dukh dekhe
hum logon ka bachpan kaisa bachpan tha
hum logon ne kaise kaise dukh dekhe
raat gae tak main ne us ki yaadon mein
jaise sher likhe the waise dukh dekhe
'danish' kaisa karb chhupae phirta hai
sher kahe raaton ko jage dukh dekhe
'danish' hum ne jis rut mein jina sikha
wo rut guzri sapne TuTe dukh dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.