hijr ke sahra se bachne aur pani ke liye
hijr ke sahrā se bachne aur paanī ke liye
ashk bahnā hai zarūrī zindagānī ke liye
ishq sachchā hai vahī jo zindagī-bhar saath de
log karte haiñ mohabbat bas javānī ke liye
jā rahe ho jaate jaate is jabīñ par ik dafa
ek bosa de do mujh ko bas nishānī ke liye
ḳhvāhishoñ kā qatl kar ḳhud hī lagānī aag hai
ḳhaak hote ḳhvāb kī saarī kahānī aag hai
jism kī chādar meñ chhuptī har javānī aag hai
naam de kar ishq kā sab ko bujhānī aag hai
ek dil patthar tumhārā ek dil patthar mirā
dono dil Takrā ga.e to sirf aanī aag hai
jhuuT haiñ rishte ye naate sach hai keval maut hī
āḳhirī sāthī sabhī kā ḳhaak paanī aag hai
hijr ke sahra se bachne aur pani ke liye
ashk bahna hai zaruri zindagani ke liye
ishq sachcha hai wahi jo zindagi-bhar sath de
log karte hain mohabbat bas jawani ke liye
ja rahe ho jate jate is jabin par ek dafa
ek bosa de do mujh ko bas nishani ke liye
KHwahishon ka qatl kar KHud hi lagani aag hai
KHak hote KHwab ki sari kahani aag hai
jism ki chadar mein chhupti har jawani aag hai
nam de kar ishq ka sab ko bujhani aag hai
ek dil patthar tumhaara ek dil patthar mera
dono dil Takra gae to sirf aani aag hai
jhuT hain rishte ye nate sach hai kewal maut hi
aaKHiri sathi sabhi ka KHak pani aag hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.