hijr ki mat kaTne ke liye
hijr kī maat kāTne ke liye
kuchh to ho raat kāTne ke liye
terī merī chhateñ banātā huuñ
apnī barsāt kāTne ke liye
jaldī jaldī guzārtā huuñ din
hijr kī raat kāTne ke liye
us ne kal raat ḳhuub bāteñ kiiñ
merī ik baat kāTne ke liye
kuchh na kuchh DhūñDtā hī rahtā huuñ
rāt-bhar raat kāTne ke liye
koī rishta bahut zarūrī hai
zaat se zaat kāTne ke liye
kaun is jhoñpḌī meñ aa.egā
vo bhī barsāt kāTne ke liye
us ne bhejī haiñ chhatriyāñ naqlī
aslī barsāt kāTne ke liye
hijr ki mat kaTne ke liye
kuchh to ho raat kaTne ke liye
teri meri chhaten banata hun
apni barsat kaTne ke liye
jaldi jaldi guzarta hun din
hijr ki raat kaTne ke liye
us ne kal raat KHub baaten kin
meri ek baat kaTne ke liye
kuchh na kuchh DhunDta hi rahta hun
raat-bhar raat kaTne ke liye
koi rishta bahut zaruri hai
zat se zat kaTne ke liye
kaun is jhonpDi mein aaega
wo bhi barsat kaTne ke liye
us ne bheji hain chhatriyan naqli
asli barsat kaTne ke liye
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 49)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.