hijr ki rut ka taraf-dar bhi ho sakta hai
hijr kī rut kā taraf-dār bhī ho saktā hai
dil ḳhasāre se samar-bār bhī ho saktā hai
kyā zarūrī hai faqat dasht meñ vahshat ho miyāñ
ye tamāshā sar-e-bāzār bhī ho saktā hai
dukh parindoñ kī tarah shor machā sakte haiñ
hijr peḌoñ pe numūdār bhī ho saktā hai
merī har raat ko firdaus banāne vaale
dil tire ḳhvāb se bedār bhī ho saktā hai
ye zarūrī to nahīñ sāmne khul kar aa.e
merā dushman pas-e-dīvār bhī ho saktā hai
hijr ki rut ka taraf-dar bhi ho sakta hai
dil KHasare se samar-bar bhi ho sakta hai
kya zaruri hai faqat dasht mein wahshat ho miyan
ye tamasha sar-e-bazar bhi ho sakta hai
dukh parindon ki tarah shor macha sakte hain
hijr peDon pe numudar bhi ho sakta hai
meri har raat ko firdaus banane wale
dil tere KHwab se bedar bhi ho sakta hai
ye zaruri to nahin samne khul kar aae
mera dushman pas-e-diwar bhi ho sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.