hijr ki shab daraaz hai dur abhi sahar bhi hai
hijr kī shab darāz hai duur abhī sahar bhī hai
aur hamārī zindagī sham' se muḳhtasar bhī hai
āñkhoñ meñ aa ga.ī hayā aa.ine par nazar bhī hai
ab to unheñ yaqīñ huā husn meñ kuchh asar bhī hai
ek nigāh-e-yās kī taab na lā sakā koī
husn meñ jo asar nahīñ 'ishq meñ vo asar bhī hai
badlī nazar jo aap kī merā jahāñ badal gayā
varna yahāñ abhī vahī shaam bhī hai sahar bhī hai
jalve tire sameT kar bhar liyā dāman-e-nazar
'ishq bhī merā hai hasīñ merī hasīñ nazar bhī hai
kitne vo nā-murād the miT ke jo be-nishāñ hue
tum ne jinheñ miTā diyā un kī tumheñ ḳhabar bhī hai
takmila-e-niyāz-e-'ishq kyoñ na karūñ maiñ ai 'zabīh'
sajde ko hai vo āstāñ dosh pe mere sar bhī hai
hijr ki shab daraaz hai dur abhi sahar bhi hai
aur hamari zindagi sham' se muKHtasar bhi hai
aankhon mein aa gai haya aaine par nazar bhi hai
ab to unhen yaqin hua husn mein kuchh asar bhi hai
ek nigah-e-yas ki tab na la saka koi
husn mein jo asar nahin 'ishq mein wo asar bhi hai
badli nazar jo aap ki mera jahan badal gaya
warna yahan abhi wahi sham bhi hai sahar bhi hai
jalwe tere sameT kar bhar liya daman-e-nazar
'ishq bhi mera hai hasin meri hasin nazar bhi hai
kitne wo na-murad the miT ke jo be-nishan hue
tum ne jinhen miTa diya un ki tumhein KHabar bhi hai
takmila-e-niyaz-e-'ishq kyon na karun main ai 'zabih'
sajde ko hai wo aastan dosh pe mere sar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.