hijr mein aankhen aansu ban kar bah jati hain socha nain
hijr meñ āñkheñ aañsū ban kar bah jaatī haiñ sochā na.iiñ
vo bhī us din ġhusse meñ thā aur maiñ ne bhī rokā na.iiñ
kitnā mushkil hai ye kahnā maiñ terā ho saktā na.iiñ
phir bhī maiñ tujh ko ye dukh to de saktā huuñ dhoka na.iiñ
ek jagah par Thahrī āñkheñ gahrī socheñ ḳhāmoshī
kab tak ḳhud pe zulm karoge is ko vāpas aanā na.iiñ
is se bichhaḌ kar soch rahā huuñ us ko bhulāne kī tarkīb
log sharāb piyā karte haiñ maiñ cigarette tak piitā na.iiñ
shikve mujh ko bhī hote haiñ merā dil bhī dukhtā hai
apne andar ghuT jaatā huuñ merī jaan maiñ kahtā na.iiñ
kis darja nuqsān uThāyā hai ham ishq faqīroñ ne
jitnā tujh ko kho baiThe haiñ utnā tujh ko paayā na.iiñ
ye pariyoñ se chehre jin par jaan chhiḌakte haiñ ham log
mujh ko in peḌoñ ke nīche dhuup milī hai saaya na.iiñ
kitnī ummīdeñ hotī haiñ un ko ik haañ sunñe kī
lekin aksar pūchhne vāloñ ke hisse meñ aayā na.iiñ
hijr mein aankhen aansu ban kar bah jati hain socha nain
wo bhi us din ghusse mein tha aur main ne bhi roka nain
kitna mushkil hai ye kahna main tera ho sakta nain
phir bhi main tujh ko ye dukh to de sakta hun dhoka nain
ek jagah par Thahri aankhen gahri sochen KHamoshi
kab tak KHud pe zulm karoge is ko wapas aana nain
is se bichhaD kar soch raha hun us ko bhulane ki tarkib
log sharab piya karte hain main cigarette tak pita nain
shikwe mujh ko bhi hote hain mera dil bhi dukhta hai
apne andar ghuT jata hun meri jaan main kahta nain
kis darja nuqsan uThaya hai hum ishq faqiron ne
jitna tujh ko kho baiThe hain utna tujh ko paya nain
ye pariyon se chehre jin par jaan chhiDakte hain hum log
mujh ko in peDon ke niche dhup mili hai saya nain
kitni ummiden hoti hain un ko ek han sunne ki
lekin aksar puchhne walon ke hisse mein aaya nain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.