hijr mein aise tere sham-o-sahar jate hain
hijr meñ aise tire shām-o-sahar jaate haiñ
qāfile yādoñ ke aate haiñ guzar jaate haiñ
kyā sazā paa.ī hai phūloñ ne mahakne kī ye
har sahar khilte haiñ har shaam bikhar jaate haiñ
dar-ba-dar ḳhvāb se manzar haiñ mirī āñkhoñ meñ
ġham bhī palkoñ pe mirī aa ke Thahar jaate haiñ
zindagī ham ne tirā kuchh to bharam rakkhā hai
itne kirdāroñ meñ jiite haiñ ki mar jaate haiñ
kū-ba-kū yaas kā 'ālam hai faqat ham tanhā
hausle TuuT ke rāhoñ meñ bikhar jaate haiñ
justujū kis kī hai jāneñ ye safar hai kaisā
ham ko jaanā hai kahāñ ham ye kidhar jaate haiñ
kashmakash meñ hai ḳhushī sab kī bhalā kyoñ āḳhir
ham jidhar jaate haiñ ye ġham bhī udhar jaate haiñ
aao ab yaaro zamīñ par bhī utar aa.eñ ham
ye parinde bhī bulandī se utar jaate haiñ
ik nazar terī zamāne pe huā kartī hai
igḌe-bigḌe jo muqaddar haiñ sañvar jaate haiñ
sar-phirī aag hai is dil meñ lagī ai 'ābid'
aa chaleñ ab kisī dariyā meñ utar jaate haiñ
hijr mein aise tere sham-o-sahar jate hain
qafile yaadon ke aate hain guzar jate hain
kya saza pai hai phulon ne mahakne ki ye
har sahar khilte hain har sham bikhar jate hain
dar-ba-dar KHwab se manzar hain meri aankhon mein
gham bhi palkon pe meri aa ke Thahar jate hain
zindagi hum ne tera kuchh to bharam rakkha hai
itne kirdaron mein jite hain ki mar jate hain
ku-ba-ku yas ka 'alam hai faqat hum tanha
hausle TuT ke rahon mein bikhar jate hain
justuju kis ki hai jaanen ye safar hai kaisa
hum ko jaana hai kahan hum ye kidhar jate hain
kashmakash mein hai KHushi sab ki bhala kyon aaKHir
hum jidhar jate hain ye gham bhi udhar jate hain
aao ab yaro zamin par bhi utar aaen hum
ye parinde bhi bulandi se utar jate hain
ek nazar teri zamane pe hua karti hai
igDe-bigDe jo muqaddar hain sanwar jate hain
sar-phiri aag hai is dil mein lagi ai 'abid'
aa chalen ab kisi dariya mein utar jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.