hijr mein koi aashna na hua
hijr meñ koī āshnā na huā
ġham magar chhoḌ kar judā na huā
aa.ina bhī ye un se kahtā hai
aap sā koī dūsrā na huā
vaa.e qismat vo dekhne aa.e
aur dard aaj hī sivā na huā
haa.e kab ghir ke aa.e haiñ bādal
jab ki qismat meñ mai-kada na huā
ġham kā aadī banā diyā mujh ko
kyā ye ehsān aap kā na huā
har-nafas par charāġh raushan hai
ye mirā dil bhī kīmiyā na huā
hazrat-e-ishq kī duā hai 'qadīr'
maiñ ḳhudā se kabhī judā na huā
hijr mein koi aashna na hua
gham magar chhoD kar juda na hua
aaina bhi ye un se kahta hai
aap sa koi dusra na hua
wae qismat wo dekhne aae
aur dard aaj hi siwa na hua
hae kab ghir ke aae hain baadal
jab ki qismat mein mai-kada na hua
gham ka aadi bana diya mujh ko
kya ye ehsan aap ka na hua
har-nafas par charagh raushan hai
ye mera dil bhi kimiya na hua
hazrat-e-ishq ki dua hai 'qadir'
main KHuda se kabhi juda na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.