hijr mein nale kiye maine ye nadani hui
hijr meñ naale kiye maiñ ne ye nādānī huī
vo pareshāñ kyā hue mujh ko pareshānī huī
dekh kar husn-e-tasavvur sab ko hairānī huī
maat dil ke sāmne naqqāshī hai maanī huī
allah allah ḳhud qafas sarsabz hai shādāb hai
ḳhatm ashkoñ se mire rasm-e-nigahbānī huī
garche aañsū ban ga.e ulfat meñ sar-rashk-e-guhar
girte hī āñkhoñ se ik ik buuñd nīsānī huī
nazr-e-ātish ho gayā parvāna hañste khelte
alvidā.a-e-zindagī meñ kitnī āsānī huī
dekh kar gul-kāriyāñ ashkoñ kī vo haiñ multafit
kār-āmad aaj merī gul-ba-dāmānī huī
vo shab-e-va.ada achānak ai 'ziyā' jab aa ga.e
mere ġham-ḳhāne ke har zarre meñ tābānī huī
hijr mein nale kiye main ne ye nadani hui
wo pareshan kya hue mujh ko pareshani hui
dekh kar husn-e-tasawwur sab ko hairani hui
mat dil ke samne naqqashi hai mani hui
allah allah KHud qafas sarsabz hai shadab hai
KHatm ashkon se mere rasm-e-nigahbani hui
garche aansu ban gae ulfat mein sar-rashk-e-guhar
girte hi aankhon se ek ek bund nisani hui
nazr-e-atish ho gaya parwana hanste khelte
alwidaa-e-zindagi mein kitni aasani hui
dekh kar gul-kariyan ashkon ki wo hain multafit
kar-amad aaj meri gul-ba-damani hui
wo shab-e-wada achanak ai 'ziya' jab aa gae
mere gham-KHane ke har zarre mein tabani hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.