hijr mein wasl ke imkan bana sakte hain
hijr meñ vasl ke imkān banā sakte haiñ
ḳhud ko DhūñDeñ to tirī zaat ko pā sakte haiñ
gar koī ham se kahe she'r sunā us par to
ek hī saañs meñ dīvān sunā sakte haiñ
is mohabbat meñ aziyyat hai ka.ī barsoñ kī
aap chāheñ to abhī chhoḌ ke jā sakte haiñ
dil kisī baat pe hotā nahīñ mā.il-ba-karam
soch liije kisī patthar se nibhā sakte haiñ
aap lagte haiñ musāfir mujhe āsānī ke
saath chalne meñ ho mushkil to batā sakte haiñ
zindagī meñ nahīñ karte haiñ mudāvā ġham kā
ham janāzoñ ko hī kandhoñ pe uThā sakte haiñ
karne aa.e haiñ izāla mire dukh kā lekin
vaqt jo biit gayā moḌ ke lā sakte haiñ
hijr mein wasl ke imkan bana sakte hain
KHud ko DhunDen to teri zat ko pa sakte hain
gar koi hum se kahe she'r suna us par to
ek hi sans mein diwan suna sakte hain
is mohabbat mein aziyyat hai kai barson ki
aap chahen to abhi chhoD ke ja sakte hain
dil kisi baat pe hota nahin mail-ba-karam
soch lije kisi patthar se nibha sakte hain
aap lagte hain musafir mujhe aasani ke
sath chalne mein ho mushkil to bata sakte hain
zindagi mein nahin karte hain mudawa gham ka
hum janazon ko hi kandhon pe uTha sakte hain
karne aae hain izala mere dukh ka lekin
waqt jo bit gaya moD ke la sakte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.