hijr-saat ki dastan hain hum
hijr-sā.at kī dāstāñ haiñ ham
vo zamīñ hai to āsmāñ haiñ ham
aa parakh le hameñ tū ai duniyā
aaj hāsil haiñ kal kahāñ haiñ ham
dard-qisse haiñ apnī ġhazloñ meñ
log samjhe haiñ naġhma-ḳhvāñ haiñ ham
tere naqshe meñ rang kyā bharte
ab to ḳhud se bhī bad-gumāñ haiñ ham
aaj sāhil pe dhajjiyāñ bolīñ
kal kī kashtī ke bādbāñ haiñ ham
aag mausam hai apnī āñkhoñ meñ
barf vaadī ke hukmrāñ haiñ ham
apnī ḳhushbū hameñ nahīñ miltī
vaise kahne ko gulsitāñ haiñ ham
ham ne paanī hai nudrat-e-ehsās
mīr-o-ġhālib ke darmiyāñ haiñ ham
ghar basā kar bhī ġham-zada hai vo
ghar luTā kar bhī shādmāñ haiñ ham
hijr-saat ki dastan hain hum
wo zamin hai to aasman hain hum
aa parakh le hamein tu ai duniya
aaj hasil hain kal kahan hain hum
dard-qisse hain apni ghazlon mein
log samjhe hain naghma-KHwan hain hum
tere naqshe mein rang kya bharte
ab to KHud se bhi bad-guman hain hum
aaj sahil pe dhajjiyan bolin
kal ki kashti ke baadban hain hum
aag mausam hai apni aankhon mein
barf wadi ke hukmran hain hum
apni KHushbu hamein nahin milti
waise kahne ko gulsitan hain hum
hum ne pani hai nudrat-e-ehsas
mir-o-ghaalib ke darmiyan hain hum
ghar basa kar bhi gham-zada hai wo
ghar luTa kar bhi shadman hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.