hijr se marhala-e-zist adam hai hum ko
hijr se marhala-e-zīst adam hai ham ko
fāsla itnā ziyāda hai ki kam hai ham ko
saa.e se uTh ke abhī dhuup meñ jā baiTheñge
ghar se sahrā to faqat ek qadam hai ham ko
pā-ba-jaulāñ tire kūche meñ bhī khīñche laa.e
shahna-e-shahr se ummīd-e-karam hai ham ko
qaht-e-māmūra-e-sūrat se haiñ patthar āñkheñ
ab ḳhudā bhī nazar aa.e to sanam hai ham ko
dekh kyā aa.ina be-jumbish-e-lab kahtā hai
jo ḳhamoshī se ho vo baat aham hai ham ko
be-yaqīnī ko yaqīñ hai ki huā kuchh bhī nahīñ
aur ik hādisa āñkhoñ kā bharam hai ham ko
ham kahāñ aur kahāñ kūcha-e-'ġhālib' 'āsim'
jāda-e-rah kashish-e-kāf-e-karam hai ham ko
hijr se marhala-e-zist adam hai hum ko
fasla itna ziyaada hai ki kam hai hum ko
sae se uTh ke abhi dhup mein ja baiThenge
ghar se sahra to faqat ek qadam hai hum ko
pa-ba-jaulan tere kuche mein bhi khinche lae
shahna-e-shahr se ummid-e-karam hai hum ko
qaht-e-mamura-e-surat se hain patthar aankhen
ab KHuda bhi nazar aae to sanam hai hum ko
dekh kya aaina be-jumbish-e-lab kahta hai
jo KHamoshi se ho wo baat aham hai hum ko
be-yaqini ko yaqin hai ki hua kuchh bhi nahin
aur ek hadisa aankhon ka bharam hai hum ko
hum kahan aur kahan kucha-e-'ghaalib' 'asim'
jada-e-rah kashish-e-kaf-e-karam hai hum ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.