hijr tari hai magar hashr bapa chahta hun
hijr taarī hai magar hashr bapā chāhtā huuñ
maiñ tujhe jaan nahīñ jaañ se sivā chāhtā huuñ
aap kahte haiñ zamāne kī tarah jiine ko
maiñ to marnā bhī zamāne se judā chāhtā huuñ
ek misrā mujhe mub.ham nahīñ achchhā lagtā
maiñ har ik sher kā mazmūn khulā chāhtā huuñ
shukriya apnī ināyat ko uThā kar rakkheñ
ḳhuub daulat hai mire paas duā chāhtā huuñ
thoḌā thoḌā maiñ kahāñ tak rahūñ ho kar sab kā
ab kisī ek ke siine se lagā chāhtā huuñ
daad paane kī tavaqqo nahīñ rahtī mujh ko
haañ magar sher tavajjoh se sunā chāhtā huuñ
hijr tari hai magar hashr bapa chahta hun
main tujhe jaan nahin jaan se siwa chahta hun
aap kahte hain zamane ki tarah jine ko
main to marna bhi zamane se juda chahta hun
ek misra mujhe mubham nahin achchha lagta
main har ek sher ka mazmun khula chahta hun
shukriya apni inayat ko uTha kar rakkhen
KHub daulat hai mere pas dua chahta hun
thoDa thoDa main kahan tak rahun ho kar sab ka
ab kisi ek ke sine se laga chahta hun
dad pane ki tawaqqo nahin rahti mujh ko
han magar sher tawajjoh se suna chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.