hijr taqdir nahin wasl ka wada bhi nahin
hijr taqdīr nahīñ vasl kā va.ada bhī nahīñ
ham ne khoyā bhī nahīñ aap ko paayā bhī nahīñ
ab vo vīrānī vo tanhā.ī vo gumnāmī hai
ab koī mujh se hai vābasta tamāsha bhī nahīñ
kabhī muskā.e kabhī ro.e tirī yādoñ meñ
bin tire maiñ ne koī lamha guzārā bhī nahīñ
vo na jaane kyoñ mohabbat kā gumāñ rakhne lagā
merī jānib se abhī aisā ishāra bhī nahīñ
ḳhud ko dīvāna mirā sab ko batātā hai magar
merā dīvāna mire naḳhre uThātā bhī nahīñ
merī tanhā.ī mujhe aur dikhā.egī bhī kyā
ab mire āsmāñ meñ ek sitārā bhī nahīñ
Duub jaanā hī muqaddar huā jaatā hai kyā
ab mayassar mujhe tinke kā sahārā bhī nahīñ
chārāgar phir tū bane kyoñ hai masīhā sab kā
mere zaḳhmoñ kā tire paas mudāvā bhī nahīñ
dil ke sahrā ko 'ananyā' jo banā.e gulshan
ḳhushk āñkhoñ meñ vo shādāb nazārā bhī nahīñ
hijr taqdir nahin wasl ka wada bhi nahin
hum ne khoya bhi nahin aap ko paya bhi nahin
ab wo virani wo tanhai wo gumnami hai
ab koi mujh se hai wabasta tamasha bhi nahin
kabhi muskae kabhi roe teri yaadon mein
bin tere main ne koi lamha guzara bhi nahin
wo na jaane kyon mohabbat ka guman rakhne laga
meri jaanib se abhi aisa ishaara bhi nahin
KHud ko diwana mera sab ko batata hai magar
mera diwana mere naKHre uThata bhi nahin
meri tanhai mujhe aur dikhaegi bhi kya
ab mere aasman mein ek sitara bhi nahin
Dub jaana hi muqaddar hua jata hai kya
ab mayassar mujhe tinke ka sahaara bhi nahin
chaaragar phir tu bane kyon hai masiha sab ka
mere zaKHmon ka tere pas mudawa bhi nahin
dil ke sahra ko 'ananya' jo banae gulshan
KHushk aankhon mein wo shadab nazara bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.