hijr us ka mere aasab pe yun tari tha
hijr us kā mire ā'sāb pe yuuñ taarī thā
baa'd marne ke bhī āñkhoñ se lahū jaarī thā
itnī jaldī saf-e-mātam se nikal aa.e ho
yaar tum ko to bahut zo'm-e-‘azā-dārī thā
kyā batā.ūñ tujhe furqat ke dinoñ kī hālat
mujh pe har roz qayāmat kī tarah bhārī thā
ham ba-zid the ki hameñ vasl kī sarshārī mile
vo magar vā'da vafā karne se inkārī thā
maiñ ne us vaqt bhī tujh ko tah-e-dil se chāhā
shaġhl jis daur meñ logoñ kā riyā-kārī thā
kis liye tere taġhāful se badal jaatā maiñ
mas.ala merā mohabbat meñ vafādārī thā
'aql meñ bhī na mirī sūd-o-ziyāñ aate the
dil to kartā hī mohabbat kī taraf-dārī thā
ghar bhī kab thā mire ārām-o-sukūñ kā bā'is
dasht bhī mere liye qarya-e-bezārī thā
vaqt paḌne pe mujhe sab kī samajh aatī thī
kis qadar faiz-rasāñ lamha-e-dushvārī thā
TūTne par bhī kahāñ mere nishāñ milte the
koī is Dhang se kartā mirī mismārī thā
use maarā gayā maslak kī binā par 'azvar'
jis kā paiġhām zamāne meñ ravādārī thā
hijr us ka mere aa'sab pe yun tari tha
ba'd marne ke bhi aankhon se lahu jari tha
itni jaldi saf-e-matam se nikal aae ho
yar tum ko to bahut zo'm-e-‘aza-dari tha
kya bataun tujhe furqat ke dinon ki haalat
mujh pe har roz qayamat ki tarah bhaari tha
hum ba-zid the ki hamein wasl ki sarshaari mile
wo magar wa'da wafa karne se inkari tha
main ne us waqt bhi tujh ko tah-e-dil se chaha
shaghl jis daur mein logon ka riya-kari tha
kis liye tere taghaful se badal jata main
masala mera mohabbat mein wafadari tha
'aql mein bhi na meri sud-o-ziyan aate the
dil to karta hi mohabbat ki taraf-dari tha
ghar bhi kab tha mere aaram-o-sukun ka ba'is
dasht bhi mere liye qarya-e-bezari tha
waqt paDne pe mujhe sab ki samajh aati thi
kis qadar faiz-rasan lamha-e-dushwari tha
TuTne par bhi kahan mere nishan milte the
koi is Dhang se karta meri mismari tha
use mara gaya maslak ki bina par 'azwar'
jis ka paigham zamane mein rawadari tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.