hijraton ke gulab dekhe hain
hijratoñ ke gulāb dekhe haiñ
ham ne saare 'azāb dekhe haiñ
ham se pūchho ki dukh kī mauj hai kyā
ham ne paiham hubāb dekhe haiñ
apnī nākāmiyoñ pe rote ho
ham se ḳhāna-ḳharāb dekhe haiñ
ik samundar kī pyaas thī mujh meñ
aur maiñ ne sarāb dekhe haiñ
mere hāthoñ kī in lakīroñ meñ
jis ne dekhe 'azāb dekhe haiñ
ḳhud ko dekhā hai ġhaur se ham ne
log kam hī ḳharāb dekhe haiñ
ham faqīroñ se pūchhte kyā ho
ham ne 'aalī janāb dekhe haiñ
hijraton ke gulab dekhe hain
hum ne sare 'azab dekhe hain
hum se puchho ki dukh ki mauj hai kya
hum ne paiham hubab dekhe hain
apni nakaamiyon pe rote ho
hum se KHana-KHarab dekhe hain
ek samundar ki pyas thi mujh mein
aur main ne sarab dekhe hain
mere hathon ki in lakiron mein
jis ne dekhe 'azab dekhe hain
KHud ko dekha hai ghaur se hum ne
log kam hi KHarab dekhe hain
hum faqiron se puchhte kya ho
hum ne 'ali janab dekhe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.