hijraton ki dhup mein yun wasl-manzar dekhna
hijratoñ kī dhuup meñ yuuñ vasl-manzar dekhnā
jaise ġhair-ābād qarya meñ gul-e-tar dekhnā
zindagī is tarah guzrī rail kā jaise safar
pahle sahrā dekhnā aur phir samundar dekhnā
koī chehra aslī hālat meñ bhalā kaise mile
but-shikan is ahd meñ kyā dast-e-āzar dekhnā
apne qad kā aap andāza lagānā ho agar
apne parcham apne shānoñ par uThā kar dekhnā
hai mukammal dāstāñ kā iḳhtisār itnā hī bas
ek unvāñ aur afsāne bahattar dekhnā
hijraton ki dhup mein yun wasl-manzar dekhna
jaise ghair-abaad qarya mein gul-e-tar dekhna
zindagi is tarah guzri rail ka jaise safar
pahle sahra dekhna aur phir samundar dekhna
koi chehra asli haalat mein bhala kaise mile
but-shikan is ahd mein kya dast-e-azar dekhna
apne qad ka aap andaza lagana ho agar
apne parcham apne shanon par uTha kar dekhna
hai mukammal dastan ka iKHtisar itna hi bas
ek unwan aur afsane bahattar dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.