hijraton ki god mein palte rahe
hijratoñ kī god meñ palte rahe
the vafāoñ ke diye jalte rahe
dāġh-e-hijrat se milī taskīn-e-jāñ
hasratoñ meñ log kuchh jalte rahe
jin ko da.avā thā raheñge saath saath
vaqt-e-ruḳhsat haath hī malte rahe
maujzan gum-gashta manzil kī lagan
kārvāñ-dar-kārvāñ chalte rahe
ik ziyā-pāshī muhīt-e-bazm thī
dāġh-hā-e-dil jahāñ jalte rahe
eqtidār-o-sarvat-o-satvat sabhī
umr-e-rafta kī tarah Dhalte rahe
dekhnā 'sādiq' ma.āl-e-dostāñ
nār-e-buġhz-o-kīñ meñ jo jalte rahe
hijraton ki god mein palte rahe
the wafaon ke diye jalte rahe
dagh-e-hijrat se mili taskin-e-jaan
hasraton mein log kuchh jalte rahe
jin ko dawa tha rahenge sath sath
waqt-e-ruKHsat hath hi malte rahe
maujzan gum-gashta manzil ki lagan
karwan-dar-karwan chalte rahe
ek ziya-pashi muhit-e-bazm thi
dagh-ha-e-dil jahan jalte rahe
eqtidar-o-sarwat-o-satwat sabhi
umr-e-rafta ki tarah Dhalte rahe
dekhna 'sadiq' maal-e-dostan
nar-e-bughz-o-kin mein jo jalte rahe
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 116)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.